36 (Chhatees)
Lyrics
Ustad shagird ban jaye
Aur zindagi kay raz hain
Mitti kay putlay toray
Phir say naye ban jaye gay
Hum kahan ja rahay hain
Hum say kainat poochhay gi
Jab say hum hain hamari ghultiyan humay na chhorain gi
Hum nay sitaray mar diyay
Un 36 ko dhoondho jin say duniya qaim hai
Un sab say poochho kay hummay kya khami hai
Ajood majood ki tarha unko chhupaya hai
Par apnay aap ko kabhi na poocha ke 'Mein kaun?'
Shayad gawa ban jaye aur woh hum say hi poochain gay
Kitnay arsay say gin rahay hain par tasali na milli
Kitnay Kama rahay ho? Kya duniya tum say khush howee?
Pyaar mohabbat say hi yeh duniya badlay gi
Un 36 ko dhoondho jin say duniya qaim hai
Un sab say poochho kay hummay kya khami hai
Ajood majood ki tarha unko chhupaya hai
Par apnay aap ko kabhi na poocha ke 'Mein kaun?'
Soch teri soch kisi aur kay khwab mein ho
Soch un kay khwab kisi aur kay haath mein ho
Soch unkay haath kisi aur kay haath mein ho
Teri ruh tera peechha na chhoray gi
Writer(s): Sikandar Ka Mandar
Copyright(s): Lyrics © O/B/O DistroKid
Lyrics Licensed & Provided by LyricFind
The Meaning of 36 (Chhatees)
Be the first!
Post your thoughts on the meaning of "36 (Chhatees)".