Maalik
Lyrics
Ruk ruk jab main baat karta hu
Rukna chahta par tere sath chalta hu
Teri bhakti mein leen hu
Karta umeed hu
Muh par sabke sunta ameen hu
Dekho dekho mere mulk ke ye rakshak
Meethe muh par ghar ke ye bhakshak
Baaton ko vaadon mein tole yaha sab
Naache tandav kar sar mere chadd chadd
Sun sun main jo baat karta hu
Teri jind se zyada tera maan karta hu
Teri soch se door hu
Itna guroor kyu
Najane kyu bikte hai noor yuh
Uth uth mere takht se bas kar
Neeche tu tere upar bas rab
Zinda jo rehta to agwah bhi hota
So gaya kabka maut se lad lad
Aage parindo se main
Upar hu sabke khadha
Dekhi hai ye zindagani
Soch ko agwah kara
Bhaage rakeebo se ye
Pyaar mein zinda jala
Dekhi hai ye zindagani
Soch ko agwah kara
Maula sun meri itni si arzi
Waqt laga kar kaam na farzi
Dekh jhuka kar aankhein apni
Kaam chale bin maalik marzi
Tere darr se na jaye koi khaali
Dete kuch yaha peeth pe gaali
Maun maun hue sab kuch bole
Bin do haath jaise bajti hai taali
Socho socho zara kaun hu main fir
Aaya le teri soch ki mehfil
Kaabu karne tere karmo ki shamtaa
Qaid karu teri khudi uss main bin
Dekh dimaag tera aaj main hasta
Kabhar nhi tu kis kadar hai fasta
Mann ki baatein main jaanu bas kar
Jaaye jaha main tera bhaap lu rasta
Aage parindo se main
Upar main sabke khadha
Dekhi hai ye zindagani
Soch ko agwah kara
Bhaage rakeebo se ye
Pyaar mein zinda jala
Dekhi hai ye zindagani
Soch ko agwah kara
Writer(s): Karun Kohli
Copyright(s): Lyrics © O/B/O DistroKid
Lyrics Licensed & Provided by LyricFind
The Meaning of Maalik
Be the first!
Post your thoughts on the meaning of "Maalik".