Manzil
Lyrics
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Raston ko dhoondna andheron ko mita ke
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Mod mat lena rukh toofaano se takra ke
Ladai khud ki khud se hai ye jung nahi kisi aur ki
Agar nakhush hai tu zindagi se toh
Galti nahi kisi aur ki
Tune ku baate gaur ki
Jab chahta tha tu kuch aur hi
Kismat teri pukaar rahi
Aur tu mode baitha peeth
Uski aur hi
Duniya ke dar se tu beech me chalta
Kaala safed kuch bhi na chunta
Aise aadmi ka
Kuch bhi na banta
Jo apne dil ki awaaz na sunta
Ku tu khud pe gaur ni karta
Bol toh sahi tu kisse hai darta
Maan liya tu haar se darta
Bina kuch kiye har baar hai marta
Til til karke tu dil me hai jalta
Khaab maare ufaan unhe kaabu tu karta
Dil ki awaaz ko ansuna karta
Tabhi safar kabhi chaalu na karta
Bina chale tu raston se darta
Hukum mile toh kuch bhi hai karta
Jeete jee
Har roz hai marta
Andar se tera dil ni karta.
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Raston ko dhoondna andheron ko mita ke
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Mod mat lena rukh toofaano se takra ke
Awaaze bulaati rahi
Unko suna hi naa kisi ne
Duniya ki parwah maine kari
Mujhe chuna hi na kisi ne
Awaaze bulaati rahi
Unko suna hi naa kisi ne
Duniya ki parwah maine kari
Mujhe chuna hi na kisi ne
Ek hi mauka milta hai
Apne sapno ko paane ka
kis mitti ka hai tu jaanega
Jab dil ka kaha tu manega
Khud ko tu jab pehchaanega
Naye raston ko tu janega
Naamumkin kaise hota mumkin
Un zariyon ko pehchaanega
Rukna nahi
Jhukna nahi
Kadi ho dhoop
Tujhe thakna nahi
Rakh tu yakeen
Rasta sahi
Mushkil ho jitni par mudna nahi
Tu kar wahi
Jo hua nahi
Tap aise
Jaise koi tapa nahi
Rab bhi tera
Milega wahi
Jab bhulega
kyaa hai galat
kyaa sahi.
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Raston ko dhoondna andheron ko mita ke
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Mod mat lena rukh toofaano se takra ke
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Raston ko dhoondna andheron ko mita ke
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Mod mat lena rukh toofaano se takra ke
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Raston ko dhoondna andheron ko mita ke
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Mod mat lena rukh toofaano se takra ke
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Raston ko dhoondna andheron ko mita ke
Jaana hai bas jaana waha
Manzil hai jaha pe
Mod mat lena rukh toofaano se takra ke
Writer(s): karan bajpai
Copyright(s): Lyrics © O/B/O DistroKid
Lyrics Licensed & Provided by LyricFind
The Meaning of Manzil
Be the first!
Post your thoughts on the meaning of "Manzil".