Ya Rabba
Lyrics
Pyar hai ya sazaa, Aye mere dil bata,
Toot ta kyon nahi, Dard ka silsila,
Iss pyar mein ho kaise kaise imtihan,
Yeh pyar likhe kaisi kaisi dastan,
Ya rabba, de de koi jaan bhi agar
Dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar
Ho ya rabba, de de koi jaan bhi agar
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar
Ho pyar hai ya sazaa,Aye mere dil bata,
Toot ta kyon nahi, Dard ka silsila,
Kaisa hai safar waffa ki manzil ka,
Na hai koi hal Dillon ki mushkil ka,
Dhadkan dhadkan bikhri ranjishein,
Sansein sansein tooti bandhishein,
Kahin toh har lamha honthon Pe fariyaad hai,
Kissi ki duniya chaahat mein barbaad hai,
Ya rabba, de de koi jaan bhi agar,
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar,
Ho ya rabba, de de koi jaan bhi agar,
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar,
Koi na sune sisakti aahon ko,
Koi na dharre tadapti baahon ko,
Aadhi aadhi poori khwahishein,
Tooti phooti sab farmaishein,
Kahin shak hai kahin nafrat ki deewar hai,
Kahin jeet mein bhi shaamil pal pal haar hai,
Ya rabba, de de koi jaan bhi agar,
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar,
Ho ya rabba, de de koi jaan bhi agar,
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar,
Ho Pyar hai ya sazaa,Aye mere dil bata,
Toot ta kyon nahi, Dard ka silsila? Ho-o,
Na pooch dard mandon se,
Hansi kaissi khushi kaissi,
Musibat sar pe rehti hai,
Kabhi kaissi kabhi kaissi,
Ho rabba, rabba,
Rabba ho-o-o,
Ho-o-o rabba.
Writer(s): SAMEER, ALOYSUIS PETER MENDONSA, EHSAAN NOORANI, SHANKAR MAHADEVAN
Copyright(s): Lyrics © Universal Music Publishing Group
Lyrics Licensed & Provided by LyricFind
The Meaning of Ya Rabba
Be the first!
Post your thoughts on the meaning of "Ya Rabba".